Old school Easter eggs.


Bewafai Shayari

Bewafai Shayari

PAGE=13

Hasne Ke Baad Rulati Hai Duniya
By : Gagan (Views : 991)

Hasne ke baad rulati hai duniya,
Pyar karne ke baad thukrati hai duniya.
Kya zindagi mein koi kasar reh gai thi,
Jo marne ke baad bhi jalati hai duniya.

 

Kyun Mujhse Mile Thhe?
By : Gagan (Views : 917)

Jo durr hi hona thaa,to kyun mujhse mile thhe,
Jo dil hi dukhana thha,to kyun hans ke mile thhe,
Vaade bhi kiye,aur unhe bhul bhi baithhe,
Kya iss liye hi tune bas,mujh ko chuna thha,
Apna hai dil bas,aisa ek sach ka paristaar,
Kyun jooth kaha mujhse?kyun khwaab buna thha?
Hum waise bhi uljhan mein,din raat hi uljhe thhe,
Ik tu jo mila,hamne bhi hans ke dekha thaa,
Ik khwaab bana tu hai,ya waham ki hai parchhai,
Aisa hi fareb hota hai,auro se humne suna thha.

 

DO DILON KI DASTAAN
By : Gagan (Views : 1110)

DO DILON KI DASTAAN KAHAN TUMHEIN KABOOL THI,
WO KASMEIN WO WAADE TUMHARE LIYE FIZOOL THAY,
KOI AAS NAHIN BAAKI LEKIN YEH TO BATA DO,
MAINE TUMHE CHAHA...KYA YEHI MERI BHOOL THI.

 

Saawan Ka Pata...
By : Gagan (Views : 834)

Wo jaanta thaa,
Bahut pasand hain baarishein mujhe,
Aur issi liye,
Jaate samay meri aankhon ko,
De gaya hai saawan ka pata.

 

Harjaai
By : Gagan (Views : 814)

Mohabbat karte nahin thay hum,
To kyun mere kareeb wo aaye,
Jis dil ke ehsaas ko maar kar,
Jina sikh liya tha humne,
Phir kyun usme mohabbat wo jagayi,
Unke ashkon ko dekh kar,
Dil majboor ho gaya jab humara,
Markar thhokar,kyun wo ho gaye paraye,
Dil to humara toot gaya,
Aur hum ro diye uss din,
Jab dekha unko dusre ki baahon mein,
Jhoom raha tha wo harjaai,
Chah kar ke bhi badduaa de nahin sakte unko,
Humne to ki hai mohabbat unse,
Badle main unhone humse ki bewafai.

Dhoke Bahut Kha Liye...
By : Gagan (Views : 1321)

Dhoke bahut kha liye humne iss zamane se,
Isiliye aaj bhi darte hain hum muskurane se,
Sab kehte hain mujhe ke main chahat ki mari,
Aur sab ko mazaa aata hai yahan mujhe azmaane se,
Kya bataaon tumhein ke kis kadar tooti hoon main,
Ab to maut bhi roti hai meri haalat par,
Aur darti hai mujhe mitaane se,
Bhooli nahin main uske sitam ko aaj bhi,
Gam aur badhte hain mere uss bewafaa ko bhulane se.

 

Usske Hain....
By : Gagan (Views : 857)

Meri hayaat pe saare aazaab us ke hain,
Hai neend meri magar saare khwaab usske hain,
Jahan rahoon main panahon mein uski rehti hoon,
Zameen,abra,falak,aftaab uske hain,
Wo kuch na dene par nadim hai aaj tak mujhse,
Main khush hoon mujh par karam behisaab uske hai,
Jo bach gaye unhe nisbat nahin koi usse,
Jo loot gaye hain,wo khana kharaab usske hai,
Hai shakhs shakhs mein shaamil agercha khoon mera,
Tamaam khaar hain mere,gulaab uske hain.

 

Tum Bhi Keh Dete Saaqi...
By : Gagan (Views : 864)

Jinhe barsaat ki boondon se pyaar ho,
Unhe yoon angaar mein bhigne ki zaroorat kya thi?
Humne to roz aapki khairiyat ki dua mangi thi,
Humare phir baddua mein ibadat nibhane ki zaroorat kya thi?
Yoon to kai hain humare aankhon se peene ke liye bechain,
Ek baar tum bhi keh dete saaqi...yoon gairon se pine ki zaroorat kya thi?
Jo huaa ho teri mohabbat mein beghar,jiska koi thikana na ho,
Uski har manzil pe aag lagane ki zaroorat kya thi?

 

Wo Shiddat Se Mujhe Chahta Hai...
By : Gagan (Views : 770)

Mujhe yakeen hai wo shiddat se mujhe chahta hai,
Main usko,kasamon ki tauhmat nahin dena chahti,
Kehne ko,uski saanso ki khushboo mein,
Main hi main basi hoon,
Wo kehta hai,ki janam se visaal talak,
Sirf aur sirf tera hoon magar,
Magar main kya karoon,
Jab jab bhi saansein takraati hain,
Ek aur khushboo ka bhi ehsaas hota hai.

 

Tasveer Teri
By : Gagan (Views : 1034)

Har pal teri tasveer seene se lagay baitha hoon,
Waqt bewaqt usse he dekha karta hoon,
Jitne aansoo girte hain meri aankhon se,
Usse saja samajh kar sheeshe mein rakha karta hoon.

Dua Karta Hoon
By : Gagan (Views : 1280)

Tanhai mein har pal tujhe yaad karta hoon,
Akele mein har roj roya karta hoon,
Tujhe kya maloom e bewafa,
Tujhe mujhse bhi achaa saathi mile,
Aisi har roj dua karta hoon.

 

Teri Yaad Mein Piya Karte Hain
By : Gagan (Views : 885)

Teri yaad mein hum pal pal roya karte hain,
Soye soye bhi hum jaga karte hain,
Tuney jo kar li bewafai,
Usse bhulane ke liye hum roj piya karte hain.

 

Ek Sawaal Zindagi Se.......
By : Gagan (Views : 1169)

Ek sawaal zindagi se kiya karte hain,
Ke hum yahan kyun jiya karte hain.

Agar kisi ke paas hamare liye waqt hi nahi,
To log pehle kyun rishte bana liya karte hain.

 

Kaanton Ka Haqdaar
By : Gagan (Views : 1037)

Maine jise pyar ka haqdaar samjha,
Usne mujhe kaanton ka haqdaar samjha,
Mere pyar ki yeh sadgi thi ki,
Maine bewafa ko bhi wafadar samjha.

 

Suraj Ki Shamma
By : Gagan (Views : 706)

Suraj ki shamma se chaand jalta hai,
Chand ki chaandni ke waqt dil dil se milta hai,
Par uss dil ko dusre dil se ek nahin hajaron dard milte hain,
Phir bhi pyaar ki chaandani har waqt yoon hi khilti hai,
Aur issi pyaar ki shamma se humein khushiyan milti hain.

Shamshan Ja Rahe Thay
By : Gagan (Views : 693)

Insaan ke kandhe mein insaan ja rahe thay,
Kafan mein lipte kuch armaan ja rahe thay,
Jinhe mili bewafai mohabbat mein,
Wafa ki talash mein shamshan ja rahe thay.

 

Khwaabon Ka Darr
By : Gagan (Views : 917)

Dil ki tanhai mein,
Tufaan hai teri yaadon ka,
Inn labbon ki khamoshi pe,
Muskaan hai tere vaadon ki.

Zara aa,aake dekh kiss tarah,
Main jeeti marti hoon,
Kal pyaar tumhi se thha mujhko,
Ab to tere khwaabon se bhi darti hoon.

 

Ashq-e-lahoo.
By : Gagan (Views : 836)

Zehan ne aaj phir mere,usski jafaa ka parda hata diya,
Usski yaadon ki sej par phir dil ne mujh ko baithaa diya,
Palkon par surkh andhera thhaa jo usski bewafaai ka kabhi,
Meri aankhon ne ashq-e-lahoo se aaj ussko mitaa diyaa.

 

Dard Ya Dawa
By : Gagan (Views : 1360)

Dard ke hadd ki paribhashaa jaan saka kaun,
Jitna dard saha kam raha,jitna dard kaha kam laga.

Ishart-e-katra hai dariya mein fanaa ho jaanaa,
Dard ka hadd se guzarna hai dawa ho jaanaa.

 

Pyaar Ka Nasha
By : Gagan (Views : 1067)

Ishq biktaa hai yeh humein,maaloom naa thhaa,
Par unhe dekh kar,yakeen aane laga hai,
Chalak raha hai sabr ka paimanaa,
Aankhon se pyaar ka nasha jaane laga hai.

Boondon Se Moti
By : Gagan (Views : 782)

O boondon se bana sakta tha moti,
Agar tu O aansu na chod deti.

Pathar bhi phigal ne wali thi,
Agar tu mere dil ko na tod deti.

 

Anjaani Soorat
By : Gagan (Views : 748)

Yunhi zindagi bemani lagne lagi hai,
Badi dard-bhari khud ki kahani lagne lagi hai,
Har kadam pe thhokar har mod par dhoka,
Ab to khud ki soorat bhi anjaani lagne lagi hai.

 

Bemaut
By : Gagan (Views : 812)

Zindagi ko jiyo,
Kyun maut se pehle tum marte ho,
Bahut kuchh hai duniya main mohabbat ke siva,
Kyun kisi bewafaa ki khatir bemaut tum marte ho.

 

Tere Dil Mein Pyaar Jaga Kar Rahenge
By : Gagan (Views : 921)

Tere dil mein pyaar jaga kar rahenge,
Teri berukhi ko muskaan bana kar rahenge,
Chaho to kar lena koshish bhulane ki,
Marenge to bhi tera pyaar,
Haddein mohabbat ki kar paar,
Aaj hum badnaam ho ke rahenge,
Jis ka naa hai koi ilaaj,
Uss rog ke shikar ho ke rahenge,
Wo bewafaa thhe jo haste haste,
Duri ki sazaa de gaye,
Thhe jo kabhi mehfilon ke chaand,
Bewafaa ke saath se aaj bekaar ho gaye.

 

Kal-tak
By : Gagan (Views : 906)

Yeh aur baat hai ke woh dushman hua hai aaj magar,
Wo mera dost thaa kal tak,usey bura na kaho.


« Back
« Home
wWw.Bhangu.Xtgem.CoM
© 2010 ! Inc - All rights reserved
online counter